20 Beautiful Shayaris From Bollywood
- Taabiir
- Sep 4, 2020
- 4 min read
Over the years, Bollywood movies have featured numerous beautiful shayaris and poems about life, love and loss. Here are 20 mesmerizing shayaris from some equally beautiful must-watch movies!

“Sharab peene de,
Masjid mein baithkar ghalib,
Ya woh jagah dikhade,
Jaha khuda na ho.”
- Rehan, Fanaa (2006)

“Teri aankhon ki namkeen mastiyan,
Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan,
Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan,
Nahi bhoolunga main,
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.
Tera haath se haath chodna,
Tera saayon ka rukh modna,
Tera palat ke phir na dekhna,
Nahin maaf karoonga mai,
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.
Baarishon mein bedhadak tere nachne se,
Baat baat pe tere bewajah ruthne se,
Choti choti teri bachkaani badmashiyon se,
Mohabbath karoonga mai,
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.
Tere jhoothe kasme vaadon se,
Tere jalte sulagte khwabon se,
Teri beraham duaon se,
Nafrath karoonga mai,
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.”
- Samar, Jab Tak Hai Jaan (2012)

“Taqdeerein badal jaati hai,
Zamana badal jaata hai,
Mulkon ki tarikh badal jaati hai,
Shahenshah badal jaate hai,
Magar iss badalti duniya mein,
Mohabbat jiss insaan ka daman thaam leti hai,
Vo insaan nahi badalta.”
- Salim, Mughal-E-Azam (1960)

“Meri tarah hota agar khud par zara bharosa, Toh kuch door tum bhi saath-saath aate. Rang meri aankhon ka baant-te zara sa, Toh kuch door tum bhi saath-saath aate. Nasha aasman ka jo choomta tumhe, Hasratein tumhari naya janam paati, Khud doosre janam mein meri udaan choone, Kuch door tum bhi saath-saath aate”
- Rohan, Udaan (2010)

“Mai aur meri tanhayi,
Aksar ye baatein karte hai,
Tum hoti toh kaisa hota?
Tum ye kehti, tum vo kehti,
Tum iss baat par hairaan hoti,
Tum uss baat par kitna hasti,
Tum hoti toh aisa hota,
Tum hoti toh waisa hota.
Mai aur meri tanhayi,
Aksar ye baatein karte hai.” - Amit Malhotra, Silsila (1981)

“Aag suraj mein hoti hai,
Jalna zameen ko padta hai,
Mohabbat nigahein karti hai,
Tadapna dil ko padta hai.”
- Rehan, Fanaa (2006)

“Na koi kisi ka raqeeb hota hai,
Na koi kisi ka habeeb hota hai.
Khuda ki rehmat se banjaate hai rishte,
Jahaan jiska naseeb hota hai.”
- Ramadhir Singh, Gangs Of Wasseypur (2012)

“Aap bhi itna samajh lein,
Mujhko samjhane ke baad,
Aadmi majboor hojata hai,
Dil lagane ke baad.”
- Vicky Kapoor, Sharabi (1984)

“Khushiyaan kisi ki mohtaaj nahi hoti,
Dosti yunhi ittefaq nahi hoti,
Kuch toh maainey hongey iss pal ke,
Varna yuunhi aapse mulaqaat nahi hoti.”
- Mr. Khan, Table No. 21 (2013)

“Pighlay neelam sa behta hua yeh samaa,
Neeli neeli si khamoshiyaan,
Na kahin hai zameen,
Na kahin aasmaan,
Sarsaraati hui tehniyaan, pattiyaan,
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan,
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan,
Aisi tanhaiyaan,
Aur main sirf main,
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya.”
- Imraan, Zindagi Na Milegi Dobara (2011)

“Dil ke chaalon ko koi,
Shayari kahe toh parwah nahi,
Takleef toh tab hoti hai,
Jab koi wah wah wah karta hai.”
- Devdas, Devdas (2002)

“Pehle toh apne dil ki raza jaan jaiye,
Phir jo nigah-e-yaar kahe maan jaiye,
Kuch keh rahi hai aapke seene ki dhadkan,
Meri suniye toh dil ka kaha maan jaiye.”
- Kundan Shankar, Raanjhanaa (2013)

“Humse door jaogey kaise,
Dil se humein bhulaogey kaise,
Hum vo khushboo hai jo saanson mein basti hai,
Khud ki saanson ko rok paogey kaise?”
- Rehan, Fanaa (2006)

“Apne hisse ki zindagi toh hum kab ke jee chuke,
Ab toh sirf dhadkanon ka lihaaz karte hai,
Kya karein inn duniya waalon ka,
Jo aakhri dhadkanon pe bhi airtraz karte hai.”
- Devdas, Devdas (2006)

“Ik baat honton tak hai jo aayi nahin, Bas ankhon se hai jhaankti, Tumse kabhi, mujhse kabhi, Kuch lafz hai woh maangti, Jinko pehanke honton tak aajaaye woh, Awaaz ki baahon mein baahein dalke ithlaye voh, Lekin jo yeh ik baat hai, Ehsas hi ehsas hai.
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti, Khushboo jo be-awaaz hai, Jiska pata tumko bhi hai, Jiski khabar mujhko bhi hai, Duniya se bhi chupta nahin, Yeh jaane kaisa raaz hai.”
- Imraan, Zindagi Na Milegi Dobara (2011)

“Kabhi raaste mein miljao,
Toh katra kar guzar jaana,
Humein iss tarah taakna,
Jaise pehchana nahi tumne.
Humara zikr jab aaye,
Toh yun anjaan bann jaana,
Ke jaise naam sunkar bhi,
Humein jaana nahi tumne.”
- Vijay Khanna, Kabhi Kabhie (1976)

“Jo lehron se aage nazar dekh paati,
Toh tum jaan lete mai kya sochta hoon.
Vo awaaz tumko bhi jo bhed jaati,
Toh tum jaan lete mai kya sochta hoon.
Zidd ka tumhare jo parda sarakta,
Khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palke hatate,
Toh tum jaan lete mai kya sochta hoon.”
- Rohan, Udaan (2010)

“Humko mita sake, Ye zamaane mein dum nahi. Humse zamana khud hai, Zamane se hum nahi." - Professor, Bulundi (1981)

“Itni shiddat se maine,
Tumhe paane ki koshish ki hai,
Ki har zarre ne mujhe,
Tumse milaane ki saazish ki hai.”
- Om, Om Shanti Om (2007)

“Jab jab dard ka baadal chaya, Jab ghum ka saya lehraya, Jab aansun palkon tak aya, Jab yeh tanha dil ghabraya, Humne dil ko yeh samjhaya, Dil aakhir tu kyun rota hai, Duniya mein yun hi hota hai.
Yeh jo gehre sannate hai, Waqt ne sabko hi baante hai, Thoda ghum hai sabka qissa, Thodi dhoop hai sabka hissa. Aankh teri bekaar hi nam hai, Har pal ek naya mausam hai, Kyun tu aise pal khota hai, Dil aakhir tu kyun rota hai.”
- Imraan, Zindagi Na Milegi Dobara (2011)
Which one's your favorite? Comment below!
Comments